MyWorld
Letters

Home

Me | Family | Friend Filasaphar Guide | Resume | Poems in English | Poems And Prose | Gazals | Love Songs | Album | Meghana Reddy | Letters | Contact

aapake khat- aapakii raay

Pragatishil Aakalp me prakashit aapakii kavitawo.N ke liye aapako badhaii. HOOK, PIICHHAA
KIYAA, UMR  kaafii achhii lagii. Jin panktiyo.N ne prabhawit kiyaa-----
Hook ek awaa.ntii borasii hai
sambndho.N kii sheetlaharii me.N
tathaa
Aashirwad kii tarah/bhichhii rah jatii hai kaii baar/kisii ke liye prarthanaa mudraa me.N.
-Kumar Vijay Gupat
Kasim Bazar, Munger-811201

aapki kavita padhi. bahut achcha likhte ho. aapki prerna kon
hai?
Rashee
rasheej@rediffmail.com

aapse guzaarish hai kii apanii do kavitaaye.N aur apanii taswiir rawaanaa kar de.N.
Fe Seen Ejaz
Edior-Mahananam  Insha
Insha Publications, 25 Zakaria Street, Kolkata-700073

aapaki kavitaye.N sashkta  hai.n inhe sambodhan ke  April-2002 ank me lagaa dii hai.n. kripaya anyatra na bheje.N.
Kamar MewaDii
sampadak sambhodhan, kankaroli rajsthan-313324

Wgarth January me aapakii kavitawo me DOST KO LIKHA KHAT kavita ne vishesh prabhavit kiyaa. mere saath aksar aisaa hotaa hai, jaisa aapane likha hai.
Laxmi Shankar Vajpeyii
K-210, Sarojini Nagar, New Delhi-110023

HONE SA HONA, DOST KO LIKHA KHAT ye dono rachnaye WAGRTH ke ank 19 me  chape gaye, ise paDhanaa hii patra lekhan ka karaN hai, kii mai.N atyant prabhavit huwa hu.N. HONE SA HONA
aatmsmwaad  ki kavita hai jo anubhav ke pashchat likhi gayii hai. mai.N bhi likhata paDataa hu.N.sambhav hai wah kisi dusare srijan ka karan bane.
ChaganLal  Soni
Bilaii, Distt- Durg-49002-Chattisgarh

honesahona.jpg

aapki kavita hone sa hona ek bahut hi saadi per gambheer darshan wali kavita hai. jis samay maine usko prakashan ke liye chuna thha us samay to mai nahi jaanti thhi ki abhigyat bharat me ek pratishthit kavi hain. lekin kavita kavi ka parichay swayam deti hai. aapko yaad hoga ki humne usko mukhprshtha per prakashit kiya thaa. aapne shayad dhyaan diya ho aam taur per hum mukhprishtha per kavitao ke saath photographs dete hain lekin us kavita se prabhavit ho ker maine do computer graphic banaye thhe aur usko kavita ke saath diya thha. yaha mai aapke liye ve dono grapics attach ker rahi hoon.
purnima varman
Edior: Anubhuti
teamanubhuti@anubhuti-hindi.org

Wagarth me aapkii kavitaye dekhii. Mai usame saaph dekh rahaa hoo.N aapakii ungaliyo.N ko aur aapakii bechainii ko.Jo kavita Kud ko sampreshit kar paThak ki smriti ka ang n ban jaye kavitaa nahii.N hotii.
Dr. Jainarayan
Editor: Kal ke liye
Anubhuti Vikas Bhavan, Civil lines, Baharaich-271801, UP

Aapakii kavita paD.kar baD.ii aatmiyataa lagii.
Dr. Shobhanath Yadav
Editor: Pragatishiil Aakalp
Pankaj calsses, Jogeshwari(east), Mumbai-400060

Maine aapko anubhuti main padhaa thaa. vahaan guestbook main likhaa bhi thaa ki "meera ho paatii", "preet bharii ho" , "rimjhim jaisii" ye teen geet mujhe bahut hi pasand aaye ..! Aaj hi aapki site dekhi...bahut pasand aayi..aur sab se zyada khushi to iis baat ki huyi ki aapko aur bhi kareeb se jaan ne kaa mauka milaa..! Aapkaa likhaa bahut hi sahaj aur saral hotaa hotaa hai,mann ke bhaavon ko kitanii sahajataa se shabd de paate ho aap..!aur woh bhi iis tarah ki padhne wala bhi uun bhaavon ko mehsoos kar letaa hai utanii hi sahajataa se...!padhte waqt lagata hai jaise, yahin kahin ...humaare aaspass ki,yaa ki humaari apani ,humaare mann ki hi baatain kahin hain..!anaayaas hi mann,apane aapko kavita main dhoondhne lagata hai..! Astha

aapke giit aur kavitae.N paDhi... bahut achchii lagii.N.. saral shabdo.N mei.N baDii. se baDii. baat ko sahajataa se kahane kii khoobii aap meiN hai.
abhinav Shukla

abhinav_shukla@infy.com

apaaki site khoob hai.
duuriyaan aur badDa dii goya
phaasalaa rakh ke zaraa saa usane
sher bahut pasand aaya !
raj
maha_raj@yahoo.com

R aj's Poetry. .

Is youa kavii me itanii sahitik urja hai kii wah hum sabako dhakiya kar aage nikal jayega.
Nagarjun
(Kolkata main abhigyat kii pustak "Saraapata hoon" ke lokarpan ke dauran sabha main)
News: 1996, Sanmarg, Dainik Calcutta

abhigyat kii kavitayen samkalin kavita ke yakaraN main izapha kar sakatii hain.
Keerti Narayan Mishra
(Aawara Hawawon Ke khilaph Chupchap kii bhumika main)
Saubhardra Niwas,Shokahara Barauni, Bihar

Tumharii kavita "wapasii parajya nahiin" snkshipat hokar bhii bahut baat kah jaatii hai.
Dr. Buddhii Nath Mishra
Chief Manager(OL)
Oil And Natural Gas Corpotation Limited
Tel Bhavan, Dehara Dun-248001

Rajkamal Chaudharii aur Dumil kii kavitayo sii shabdo me marak kshamata abhigyat ne arjit kii hai.
Dr. Sukirti Gupta
("Ek Adahan Hamare Andar" pustak kii samiksha)
Tolyganj, Calcutta

Aaj hii tumharii kavitawon kii kitab "Dii Hooii Niid" milii, ise paDakar tumhe to likhoonga hii kisii akhabar mein bhii likhoonga. isake parkashn kii soochna "Sahitya Bulletin" me de raha hoon.
Nawal
162/A/12 Lack Gardens, Calcutta-700045

Abhigyat ne bhasha ke jo muhaware gaDhe hai wah shabdha ke arth koo itana vistar dene me samrth hai kii ek pankti par poorii kitab hii likhii ja sakatii hai.
Sakaldeep Singh
kolkata

abhigyat ke laghu upanas "Anchahe Darwaze Par" kii visheshata hai paThaniiyata, jo ek baar shuroo karane par ant tak bandhe rakhatii hai. Sex aur prem ke antar smbandho ko bhii sire se wyakhait karane kii isame koshish hai.
Dr. Sriniwas Sharma
"Anchahe Darwaze Par" ke phlap par

jinhe achchii kavita paDane ka shuk ho unake liye abhigyat kii pustan Saraapata hoo paDanii chahiye.
Vinay Vihari Singh
Janasatta daily, Calcutta

Apani Pratikriya de.Muze E-mail karen

ginti.gif